Alvida Lyrics

Chhup ke se kahin ... dheeme paaon se ...
Jaane kis tarah, kis ghadi?
Aage bad gaye hum se rahoon main
Par tum to abhi the yahin
Kuch bhi naa suna ...
Kab ka tha gila ...
Kaise keh diya alvida

Jinke darmiyan guzri thi abhi
Kal tak yeh meri zindagi
Kyun un baahon ko, thandi chhaon ko
Hum bhi kar chale alvida

Alvida ... alvida ... meri raahein alvida
Meri saasein kehti hai alvida
Alvida ... alvida ... ab kehna aur kya
Jab tune keh diya alvida

Sunle bekhabar kyun aankhein pher kar
Aaj tu chali jaa ... dhundegi nazar
Humko hi magar har jagah
Aisi raaton main leke karwate
Yaad hamen karna aur phir har kar
Kehna kyun magar keh diya

Alvida ... alvida ... koi poochhe to zara
Kya socha aur kaha alvida
Alvida ... alvida ... ab kehna aur kya
Jab tune keh diya alvida

Hum the diljale, phir bhi dil kahe
Kash mere sang aaj hote tum agar
Hoti har dagar gulsitaan
Tumse hai khhafa, hum naraz hain
Dil hai pareshan socha na suna.. tune kyon bhala
Keh diya.. alvida alvida
Koi poochhe to zara
Kya socha aur kaha alvida
Alvida ... alvida ...
Ab kehna aur kya
Jab tune keh diya alvida

Ho.. ho...

Alvida ... alvida ... alvida ...
Kyun socha aur kaha alvida ...

Kyun un baahon ko, thandhi chhaon ko
Hum bhi kar chale alvida

Published:
Updated: