Tu Kuja Lyrics

Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan

Phir baarish ki mujh pe bhi ho maharaja
Anginat chintaao ne ghera
Aastha hai jo vyatha hai
Woh harega tu
Sun meri bhi koi na mera

Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan

Hain bhyankar path mein kankkar maharaja
Mujh adham se kyun tune mukh phera
Main dharatal se pukaroon
Haath de apna
Sun meri bhi koi na mera
Nirdhano ka dheer tu hai nirbalon ka bal
Sun meri bhi koi na mera

Main jagat mein lapata, mera tu pata
Main kahaan, batlaa… ?
Main ekaaki de dayaa ki bheekh raja
Hai adhar mein shwaas bhi mera

Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan
Main kahaan kahaan
Main kahaan kahaan

Ghanghor hai andhiyaare
Sab roothe hai ujiyaare
Tan toote, mann haare
Tan toote, mann haare
Kismat ke doobe taare
Koi kiran dikhla re
Hai soone path saare
Hai soone path saare
Main ekaaki, de dayaa ki bheekh raja
Kya tujhe abhaas bhi mera

Tu kuja, mann kuja
Tu kuja, mann kuja
Ho ho.. tu kahaan main kahaan
Tu kahaan main kahaan

Tu Kuja Lyrics, Tu Kuja Lyrics Sunidhi Chauhan, Tu Kuja Lyrics A.R. Rahman

Published:
Updated:

Lyrics to Tu Kuja from Highway - Imtiaz Ali film. The song is sung by Sunidhi Chauhan with lyrics by Irshad Kamil and music by A.R. Rahman.

Singer(s): Sunidhi Chauhan
Movie/Album: Highway (2013)
Lyricist: Irshad Kamil
Music: A.R. Rahman
Year: 2013