Aa Jao Meri Tamanna Lyrics

Thoda thehar, thoda thehar
Sun le zara, sun le zara
Dil keh raha, dil keh raha
De na saza, yun bewajah

Ruth kar mujhse na ja abhi
Bhool kar shikwa gila sabhi pyaar ka
Aa jao meri tamanna
Baahon mein aao
Ke ho na paaye judaa hum
Aise mujh mein samaao

Hoo har ghadi lag rahi teri kami
Le chali kis gali yeh zindagi
Hai pata lapata hoon pyaar mein
Ankahi ansuni chahat jagi
Jo hua pehle hua nahi
Aaj tum kar lo zara yakin pyaar ka

Aa jao meri tamanna
Bahaon mein aao
Ke ho na paaye juda hum
Aise mujh mein samaao

Hoo rut javan dil javan hasrat javan
Tu hai to yeh bhi hai saare javan
Woh nagar woh dagar ho gi hassen
Tu mile pyaar se mujhko jahan
Pana hai tujhko yeh dil kahe
Har ghadi ab to nasha rahe pyaar ka

Aa jao meri tamanna
Baahaon mein aao
Ke ho na paaye juda hum
Aise mujh mein samaao

Published:
Updated:

Singer(s): Javed Ali, Jojo
Movie/Album: Ajab Prem Ki Ghazab Kahani (2009)
Lyricist: Irshad Kamil
Music: Pritam
Year: 2009