Main Ek Bhanwra Lyrics

Main ek bhanwra chhote bagiche ka
Maine ye kya kar dala
Jungle se aati khushboo lapakne gaya...
Ho gaya laapata
Ya Banuga ek din sitara ya rahunga main bechara

Main ek bhanwra chhote baagiche ka
Maine ye kya kar dala

Ek din main nikla hadon se
Uljha kiski laton se
Uski nazar ki damak se
Chundhiya gaya main chamak se
Wo hosh maine gawaya
Kuch bhi samajh main na aaya
Udna main bhool hi gaya
Pankho se nikli hawa
Wo aisa bhaya ki mann mein samaya
Haan mujhe pyaar hua

Main ek bhanwra chhote baagiche ka
Maine ye kya kar dala

Kahaan gaya mein kahaan se
Baikhud hua do jahaan se
Ab se jeena bhi ada hai
Baichainiya toh gunaah hai
Khud se ye dil poochta hai
Karoon kya na soojh paya
Itna samajh main hai aya
mere sang nahi mera saya
Maine kya paya kya maine gawaya
Haan maine ki galatiyaan

Main ek bhanwra chhote bagiche ka
Maine ye kya kar dala
Jungle se aati khushboo lapakne gaya
Ho gaya laapata
Ya Banuga ek din sitara ya rahunga main bechara

Main ek bhanwra chhote baagiche ka
Maine ye kya kar dala

Updated: