Maaloom Lyrics
Paisa vaisa kya pata
Kaun kaisa kya pata
Zinda hoon aaj main
Iss se zyada kya pata
Mera toh zamane se
Lena dena hi nahin
Yaara gustakhi maaf itna hi maaloom..
Jispe bhi tu sath ho
Bas itna hi maaloom
Yaqeen hai vahi hai
Meri manzil ka raasta ..
Meri manzil ka raasta ..
Taare kaise bhala hain todte kya pata
Taare mil bhi gaye
toh tu karegi bhi kya
Main gair maamooli
Kartab dikha karke saabit karoon bol kya
Kya hai tu mere liye
Seedhe saade se lafzon mein sun le zara
Qasmein kya pata
Reet rasmein kya pata
Sachche pyaar ki
Qismein vismein kya pata
Mera toh zamane se
Lena dena hi nahin
Yaara gustakhi maaf
Itna hi maaloom..
Jispe bhi tu sath ho
Bas itna hi maaloom
Yaqeen hai vahi hai
Meri manzil ka raasta ..
manzil ka raasta ..
Updated:
Singer(s): Hriday Gattani & Jonita Gandhi
Movie/Album: Lekar Hum Deewana Dil (2014)
Music: A.R. Rahman
Year: 2014