Ye Tune Kya Kiya Lyrics

Ishq woh bala hai..
Ishq woh bala hai..
Jisko chhua isne woh jala hai
Dil se hota hai shuru..
Dil se hota hai shuru,
Par kambakht sir pe chadha hai
Kabhi khud se, kabhi khuda se, kabhi zamaane se lada hai
Itna hua badnaam phir bhi,
Har zubaan pe adaa hai

Ishq ki saazishein
Ishq ki baaziyaan
Haara maat khel key
Do dilon ka juaan

Kyun tune meri fursat kee
Kyun dil mein itni harqat ki
Ishq mein itni barkat ki
Ye toone kya kiya
Phiroon ab maara maara main
Chand se bichhda taara main
Dil se itna kyoon haara main
Ye tune kya kiya

Saari duniya se jeet ke
Main Aaya hoon idhar
Tere aage hi main haara
Kiya tune kya asar
Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
Ye tune kya kiya

Meri baahon ko teri saanson ki
Jo aadatein lagin hai kaisi
Jee leta hoon ab main thoda aur

Mere dil ki ret pe aankhon ki
Jo pade parchhayi teri
Pee leta hoon tab main thoda aur

Jaane kaun hai tu meri
Main na jaanoon ye magar
Jahan jaun main karun main wahan tera hi zikar
Mujhe tu raazi lagti hai
Jeeti hui baazi lagti hai
Tabiyat taazi lagti hai
Ye tune kya kiya

Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
Ye toone kya kiya

Dil karta hai teri baatein sunoon
Sote main adhoore chunoon
Muft ka hua ye faayeda
Kyun khud ko main barbaad karoon
Fanaa hoke tujhse miloon
Ishq ka ajab hai kaayada

Teri raahon se jo guzri hai meri dagar
Main bhi aage badh gaya hoon hoke thoda befikar
Kaho to kisse marzi loon
Kaho to kisko arzi doon
Hasta ab thoda farzi hoon
Ye tune kya kiya

Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
Ye toone kya kiya

Ishq ki.. saazishein
Ishq ki.. baaziyaan
Haara main khel ke
Do dilon ka juaa

Published:
Updated:

Ye Tune Kya Kiya Lyrics and video song from Once Upon A Time In Mumbaai Dobara (OUATIMD). Rajat Arora has written the lyrics of Ye Tune Kya Kiya.
Star Cast: Akshay Kumar, Imran Khan, Sonakshi Sinha
Music on: T-Series

Singer(s): Javed Bashir
Movie/Album: Once Upon a Time in Mumbaai Dobara (2013)
Lyricist: Rajat Arora
Music: Pritam Chakraborty
Year: 2013