Aahatein Lyrics

Aahatein,
Ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin na kahin
Aahatein,
Ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin

Kabhi mere khwab sa,
Kabhi uljhe jawaab sa,
Ke chanda mein bhi daag sa,
Mere jaisa tu
Ke dariya ka ho ik sira,
Ke armaano ka silsila,
Ke sehra mein bhi aab sa,
Mere jaisa tu,
Mere jaisa tu

Aahatein
Ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin na kahin.

Tera hoon main, tujhe kyon na yaqeen hai
Chaahat mein meri aakhir kya kami hai
Tujh main hi toh chhupi meri khudi hai.
Meri khudi kuch na sahi.
Kuch na sahi,
Kuch na sahi

Aahatein,
Ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin.

Kabhi mere khwab sa,
Kabhi uljhe jawaab sa,
Ke chanda mein bhi daag sa,
Mere jaisa tu.
Ke tu hi dariya ka he ik sira,
Ke armaanon ka silsila,
Ke sehra mein bhi aab sa,
Mere jaisa tu, mere jaisa tu.

Aahatein,
Ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin na kahin.

Updated: