Chulein Aasman Lyrics

Kehte hain padh likhkar aakhir kya karogi
Tumko toh kisi ka ghar basaana hai
Kehte hain tum ho amaanat doosre ki
Unsse kaho apni bhi zidd hai
Tode hum saare ye pinjre

Chulein aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan, har dhadkan boley (x2)

Wo.. oo..

Kehte hain bete budhape ka sahara hain
Betiyaan, bas ek bojh hain
Kehte hain jo bura hua tera kusoor hai
Unsey kaho, apni bhi zidd hai
Tode hum saare ye pinjre

Chulein aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan, har dhadkan bole
Chule aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badlein daastan, har dhadkan bole

Ho.. wo..

Har zarra ye kahe
Ab hum hai sang tere
Roke se na ruke.. hey, hey...
Har qatra cheekh ke
Dohraaye sang mere
Ab roke na ruke.. hey, hey...
Chule aasmaan..

(Koi agar humse pooche, kaun hai hum
Chaahe hum jo bhi hai, apni pehchan kahe
Jab tak hai humaare beech barabari na ho
Tab tak kaise, khud ko hum insaan kahein)

Chule aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan, har dhadkan bole
Chule aasmaan ye jahaan hum jeet lein
Badle daastan, har dhadkan bole

Published:
Updated:

Lyrics of 'Chulein Aasman' by Farhan Akhtar & Salim-Sulaiman: A song about female emancipation and freeing women from the roles that they have been coerced into playing for centuries.

Movie/Album: Singles - Hindi
Lyricist: Farhan Akhtar, Shraddha Pandit
Music: Salim-Sulaiman