Kashmir Main Tu Kanyakumari Lyrics

(Tana tana tan tana tana tan
Na na na na na tana tan na na na na na)

Chipak chipak ke chalti hain kabhi kabhi do raahein
Jude jude kuch aise ke laga ho jaise gum
Double double hoti thi jo kabhi kabhi takleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se kam
Ho tera-mera, mera-tera, tera-mera, mera-tera kissa atrangi
Kabhi-kabhi chalti hai, kabhi-kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main, tu Kanyakumari
North-South ki kat gyi dekho doori hi saari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari

Tana tana tan tana tana tan
Na na na na na tana tan na na na na na
Tan na na na na na tana tan na na na na na (x2)

(Tana tana tan tana tana tan
Na na na na na tana tan na na na na na
Tan na na na na na tana tan na na na na na)

Ek taraf to jhagda hai saath phir bhi tagda hai
Do kadam chalte hain to lagta hai aath hain
Do tarah ke flavour sau tarah ke tewar
Dar badar firtein hain ji, phir bhi apni thaath hai
Kabhi-kabhi chale seedhe, kabhi mud jaayein
Kabhi-kabhi kahin tootein, kahin jud jaayein
Hum sham sahar ke, chaaron pahar ke
Mood mein dhal jaayein

Kashmir main tu Kanyakumari
Uttar ne dakshin ko aflatoon aankh mari
Kashmir tu main Kanyakumari
Tel bechne jaaye to phir yeh duniya saari

Main zaraa sa puncture to, tu hawaa ke jaisi hai
Sath ho to pahiye taqdeeron ke tight hon
Bulb ban jaloon main aur tu switch ban jaa
Bhaad mein jaaye duniya apni batti light ho
Kabhi-kabhi chale seedhe, kabhi mud jaayein
Kabhi-kabhi paidal, kabhi udd jaayein
Hamein dekh zamane walon ki chahe naak sikud jaayein

Kashmir main, tu Kanyakumari
Halke-fulke packet mein dekho mushkil bhaari
Kashmir tu main Kanyakumari
Hindi mein gustakhi hai to English mein sorry
Chipak-Chipak ke chalti hain kabhi kabhi do raahein
Jude jude kuchh aise ke laga ho jaise gum
Double double hoti thi jo kabhi-kabhi takleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se kam
Ho tera-mera, mera-tera, tera-mera, mera-tera kissa atrangi
Kabhi kabhi chalti hai, kabhi kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main (Kashmir main) tu Kanyakumari
North-South ki kat gyi dekho doori hi saari
Kashmir tu (Kashmir tu) main Kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari

Tana tana tan tana tana tan
Na na na na na tana tan na na na na na
Na na na na na tana tan na na na na na (x2)

Kashmir Main, Tu Kanyakumari Lyrics, Kashmir Main, Tu Kanyakumari Video Song

Published:
Updated:

view Lyrics of Kashmir Main Tu Kanyakumari with Video song from Chennai Express sung by Sunidhi Chauhan, Arijit Singh & Neeti Mohan.
Star Cast: Shahrukh Khan, Deepika Padukone, Sathyaraj
Music Released: 2 July 2013
Music On: T-Series

Singer(s): Sunidhi Chauhan, Arijit Singh & Neeti Mohan
Movie/Album: Chennai Express (2013)
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Music: Vishal & Shekhar
Year: 2013