Abhi Mujh Mein Kahin Lyrics

Abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi
Jaagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main toh abhi
Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai

Ye lamha kahaan the mera
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loo'n zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa

Ho o.. abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi

Ho.. dhoop mein jalte huey tann ko chhaya perh ki mill gayee
Roothe bachche ki hansi jaise phuslaane se phir khil gayee
Roothe bachche ki hansi jaise phuslaane se phir khil gayee
Kuchh aisa hi mehsoos dil ko ho raha hai
Barso'n ke puraane zakhmo pe marham laga sa hai
Kuch ehsaan hai, iss lamhe mein hai

Ye lamha kahaan the mera
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loo'n zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa

Dor se patang jaisi thi ye zindagani meri
Aaj hoon kal ho mera na ho
Har din thi kahani meri
Ek bandhan naya peeche se mujhko bulaye
Ik aise chubhan iss lamhe me hai

Ye lamha kahaan tha mera
Ab hai saamne
Issey chhoo loon zara
Mar jaaoon ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loo'n zaraa
Mar jaaoon ya jee loon zaraa

Updated:

Abhi mujh mein kahin lyrics from agneepath by Sonu Nigam

Singer(s): Sonu Nigam
Movie/Album: Agneepath
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Music: Ajay - Atul
Year: 2012