Jaaniya Lyrics

Dil sunta hai, teri sadaa
Aa rubaru, ab toh zara
Bechain si, meri zindagi
Sunn kar teri, yeh dastaan
Jeena mera aasaan kar, ru mil ke yeh ehsaan kar
Kahin kho gaya chain usko, tere dard ko ab jaan kar
Jaaniya o jaaniya, bas roye dil mera
Aasu palkon pe nahin hai bewajah
Dil hai gum sadaa jaaniya

Tujhe paa liya ya kho diya
Iss baat par, dil ro diya
Ke chaah kar, tu naa aa sakey
Tu waqt hai, guzara hua
Tujhe rakh liya, inn yaadon ne
Ik phool sa, kitaabon mein
Iss dil mein tu, rahega sadaa
Aur mehakega, inn saanson mein
Raaton mein tu jal jaata hai
Chehre mein tu dhal jaata hai
Taara hai tu mujh mein toota sa
Neendhon mein se jaga deta hai
Palkon ko bhigo deta hai
Dariya hai tu mujh mein dooba sa
Har waqt khwaabon ki tarah, tu aata raha

Jaaniya o jaaniya, din kya raat kya
Aahat ho koi, lagta hai sadaa
Ke tu hai wahan jaaniya

Jaaniya o jaaniya, bas roye dil mera
Aasu palkon pe nahin hai bewajah
Dil hai gum sadaa jaaniya

Updated: