Tera Deedar Hua Lyrics

Yun tera muskurana
Aur aake chale jaana
Yun tera muskurana
Aur aake chale jaana
Kismat ka hai khul jaana
Tera Deedar Hua,
Pehla aisa pyar hua
Pehli hi baar hua iss dil ko
Naa toh inkaar hua
Naa hi iqraar hua
Jaane kya yaar hua iss dil ko [x2]

Re ga ra re.....

Tujhse mila toh jaagi duaayein, aur nazar ne sajda kiya
Jannat zameen par aayi utar ke
Khushiyon ne jaise chun sa liya

Ooo Tujhse mila toh jaagi duaayein,
Aur nazar ne sajda kiya
Jannat zameen pe aayi utar ke
Khushiyon ne jaise chun sa liya

Har manzar dilnasheen hai..
Tu hi tu har kahin hai
Oh.. teri ye adaein toh hai qatilana
Tera deedar Hua, pehla sa pyar hua
Pehli hi baar hua iss dil ko
Naa toh inkaar hua
Naa hi iqraar hua
Jaane kya yaar hua iss dil ko

Tere bina tanha tha hardam
Hothon pe hardam thi tishnagi
Maqsad nahi tha, sapne nahi thay
Thi zindagi mein aawargi
Tu mera rehnuma hai
Manzil hai raasta hai
O mere liye tu toh jaise
Rab ka hai nazrana

Tera Deedar Hua, pehla aisa pyar hua
Pehli hi baar hua iss dil ko
Naa toh inkaar hua
Naa hi iqraar hua
Jaane kya yaar hua iss dil ko

Yun tera muskurana aur aake chale jaana
Yun tera muskurana aur aake chale jaana
Kismat ka hai khul jaana
Tera Deedar Hua, pehla aisa pyar hua
Pehli hi baar hua iss dil ko
Naa toh inkaar hua
Naa hi iqraar hua
Jaane kya yaar hua iss dil ko

Corrected By: Avi Patel, Nikita Juneja

Tera Deedar Hua, Lyrics, Jannat 2

Published:
Updated:

Singer(s): Rahat Fateh Ali Khan
Movie/Album: Jannat 2
Lyricist: Sayeed Quadri
Music: Pritam Chakraborty
Year: 2012