Yeh Raat Mona Lisa Lyrics
Yeh raat Mona Lisa jaise sangeen hai
Aadhi khushi hai adhi ghamgeen hai
Yeh raat Mona Lisa jaise sangeen hai
Aadhi Khushi hai aadhi ghamgeen hai
Khidkiyon ke baahar girta kitna saara neer hai
Aan maano baadal bahot ameer hai
Samajhte ye khud ko parindey hain
Par yeh udd nahi sakte
Kabhi pankho se phadphadate hain
Par yeh udd nahi sakte
In shuturmugo ki dastaan toh hamesha ki hai
Bas society, kyun inhe, padhna nahi chahti
Hamesha apne sheeshe dhak leti hai
Yeh itne badsoorat hai kya!
Kabhi pankho se phadphadate hai
Par yeh, udd nahi sakte
Inke dard gulab ki haveliya hai
Dekhne mein surkh hain
Sun.ne mein kaanton ki saheliya hai
1, 2, 3, 4...
Kamzor si dilon pe muskaane hai
Udaas muskaane hai, Maayus muskaane hai
Kamzor si dilon pe muskaane hai
Maayus muskaane hai, Udaas muskaane hai
Thaki thaki si hai, Phir bhi yeh chal rahi hai
Samajhte ye khud ko parinde hai
Par yeh udd nahi sakte
Kabhi pankho se phadphadate hai
Par yeh udd nahi sakte
I told you No baby
No No No...
Sehar bas thehar ke aane ko hai
Aur hosh masti ke scooter par sawaar hai
Sehar bas thehar ke aane ko hai
Aur hosh masti ke scooter par sawaar hai
That's the way to go baby!
Adaa se nashe mein jhoom rahein hai
Jaise ye koi mor hai kya
Batakh se nikalti azaane hai
Kaafiron ki Namaaz hai
The cat is out of the Bag
Updated:
"Yeh Raat Mona Lisa" is a new Video song by Usha Uthup from upcoming Hindi Movie Kaafiron Ki Namaaz. Yeh Raat Mona Lisa Lyrics are written by Ram Ramesh Sharma.
Singer(s): Usha Uthup
Movie/Album: Singles - Hindi
Lyricist: Ram Ramesh Sharma
Music: Advait Nemlekar